~ Dil ka aakhri safar, sirf khamoshi humsafar

Jab koi sunta nahi, na chand, na raat,

Aur taare bhi ho jaayein be-zubaan, be-raat,

Jab saans bhi lage kisi aur ki amanat,

Aur har muskaan ban jaaye ek aadat—

Tab dil apne hi se ghabra jaata hai,

Khud ka hi chehra ajnabi lagne lagta hai.

Zindagi ka har pal ek sawal ban jaata hai,

Aur maut ka khayal ek jawab ban jaata hai.

Woh yaadein jo kabhi roshan karti thi,

Ab andheron mein aansu barsaati hai.

Jo log kabhi saath chalte the haathon mein haath leke,

Aaj sirf yaadon mein dagah chhod gaye haiin

Main cheekhta hoon, par awaaz hi nahi bachi,

Main jeeta hoon, par zindagi kahaan rahi?

Ek soona sa maidan hoon main ab,